Balon ka jhadna kaise roke
aaj ki Bhag Daud life mein log Itna vyast hain ke Apne balon ka theek se Khyal Nahin Rakh paate
pahle 30 Aur 40 ki age hone per balon ke jhadane ki samasya ka Samna karna padta tha aur ab Sahi Khan Pan na hone ki vajah se young ladke ladkiyon ke bal jhadne ki samasya badti jaa rahi hai
Aaj is article ko padhne ke bad aapke balo ka Patla Hona Bal sukhe Hona Bal jhadane ki samasya Puri Tarah Se khatam ho jayegi
Balon ke jhadne ke bahot sare vajah ho sakte hain jaise sahi diet na Hona Jada chemical wale hair product use karna bal jhadna jab start hota hai log Tarah Tarah Ke shampoo Tel chemical wale product use karna start kar dete Hain lekin koi apni deit me dhyan nahi deta
Balon ke jhadne ke sabse badi vajah hai ek sahi deit na hona
Agar Bal Andar Se Hi majbut Nahin Hai To balon me product use Karne Se Koi fayda Nahin Milta isiliye sabse pahle diet Mein Dhyan Dena chahie
balon ki growth ke liye protein or vitamis bahut jaruri hai isiliye sabse pahle aapki diet me bharpur Matra Mein protein or vitamis hona avashyak hai
Apni diet me Ande Dahi milk paneer Dal badam Soybean Hari sabjiyan Shamil Karen inmein bharpur Matra Mein protein vitamis paya jata hai or ak multivitamin tablet 3 mahine Tak khayen
healthy hair ke liye aapka scalp saaf Hona bahut jaruri hai week Mein 2 se 3 bar Apne hair ko Mild Shampoo yah baby shampoo se acchi Tarah Se wash Karen
massage karne se blood circulation badhta hai week mein 3 bar oil se masaage krna jaruri hai
healthy hair ke liye din bhar Mein 3 se 4 litre Pani Pina Jaruri hota hai
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें